kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tira aur jalva-khana tira
mai-kada tera hai kaaba tira but-khana tira sab hai janana tira
tu kisi shakl men ho main tira shaidai huun tera saudai huun
tu agar shama hai ai dost main parvana tira yaani divana tira
mujh ko bhi jaam koi pir-e-kharabat mile teri khairat mile
ta-qayamat yunhi jaari rahe paimana tira rahe mai-khana tira
tere darvaze pe hazir hai tire dar ka faqir ai amiron ke amiir
mujh pe bhi ho kabhi altaf-e-karimana tira lutf-e-shahana tira
sadqa mai-khane ka saaqi mujhe be-hoshi de khud-faramoshi de
yuun to sab kahte hain ‘bedam’ tira mastana tira ab huun divana tira
Leave a Reply