aks manzar men palaTne ke liye hota hai
a.ina gard se aTne ke liye hota hai
shaam hoti hai to hota hai mira dil betab
aur ye tujh se lipaTne ke liye hota hai
ye jo ham dekh rahe hain ka.i duniyaon ko
aisa phailao simaTne ke liye hota hai
ilm jitna bhi ho kam paḌta hai insanon ko
rizq jitna bhi ho baTne ke liye hota hai
saa.e ko shamil-e-qamat na karo aḳhir-kar
baḌh bhi jaa.e to ye ghaTne ke liye hota hai
goya duniya ki zarurat nahin durveshon ko
ya.ani kashkol ulaTne ke liye hota hai
matl-e-sub.h-e-numu saaf to hoga ‘azar’
abr chhaya hua chhaTne ke liye hota hai
Leave a Reply