kaun hai kis ka ye paigham hai kya arz karun
zindagi nama-e-gumnam hai kya arz karun
de ke vo daavat-e-nazzara jahan phir na mila
ye vahi jalva-gah-e-am hai kya arz karun
zindagi us ne badal kar miri rakh di aisi
na mujhe chain na aram hai kya arz karun
hasrat-o-yas ka maskan hai mira khana-e-dil
suuna suuna ye dar-o-bam hai kya arz karun
aage pichhe hai mire ek masaib ka hujum
aaj nakami bahar-gam hai kya arz karun
meri qismat men likhi tishna-labi hai shayad
us ke hathon men bhara jaam hai kya arz karun
jab se vo khana-bar-andaz hai sargarm-e-amal
jis taraf dekhiye kohram hai kya arz karun
sub.h-e-ummid kab aaegi na jaane ‘barqi’
muztarib dil ye sar-e-sham hai kya arz karun
Leave a Reply