kaun bhanvar men mallahon se ab takrar karega
ab to qismat se hi koi dariya paar karega
saara shahr hi tariki par yuun khamosh raha to
kaun charagh jalane ke paida asar karega
jab us ka kirdar tumhare sach ki zad men aaya
likhne vaala shahr ki kaali har divar karega
jaane kaun si dhun men tere shahr men aa nikle hain
dil tujh se milne ki khvahish ab sau baar karega
dil men tera qayam tha lekin ab ye kise khabar thi
dukh bhi apne hone par itna israr karega
Leave a Reply