• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaun Batae Kaun Sujhae Kaun Se Des Sidhaar Gae

Kaun Batae Kaun Sujhae Kaun Se Des Sidhaar Gae

kaun bata.e kaun sujha.e kaun se des sidhar ga.e

un ka rasta takte takte nain hamare haar ga.e

kanTon ke dukh sahne men taskin bhi thi aram bhi tha

hansne vaale bhole-bhale phuul chaman ke maar ga.e

ek lagan ki baat hai jivan ek lagan hi jivan hai

puchh na kya khoya kya paaya kya jiite kya haar ga.e

aane vaali barkha dekhen kya dikhla.e ankhon ko

ye barkha barsate din to bin piritam be-kar ga.e

jab bhi lauTe pyaar se lauTe phuul na pa kar gulshan men

bhanvre amrit ras ki dhun men pal pal sau sau baar ga.e

ham se puchho sahil vaalo kya biiti dukhiyaron par

khevan-hare biich bhanvar men chhoḌ ke jab us paar ga.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaane Wale Se Rabta Rah Jae

Hasin Wo Chehra Hai Mahtab Ka Jawab Koi

Dil Apna Said-E-Tamanna Hai Dekhiye Kya Ho

Tujhe Kya KHabar Mere Ham-Safar Mera Marhala Koi Aur Hai

Kal Pardes Mein Yaad Aaegi Dhyan Mein Rakh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet