kaash samajhte ahl-e-zamana
kya hai haqiqat kya hai fasana
ishq ka sheva husn ki fitrat
ek haqiqat ek fasana
rah-e-vafa dushvar bahut hai
soch samajh kar paanv badhana
tum na ho jis ke kaun ho us ka
jis ke hue tum us ka zamana
rahrav-e-rah-e-ishq-o-mohabbat
jaan to dena lab na hilana
pahlu-e-gul men khaar nihan hain
gulchin apna haath bachana
ham ne to ‘vasfi’ paaya hai un ko
jalva-ba-jalva khana-ba-khana
Leave a Reply