karte nahin jafa bhi vo tark-e-vafa ke saath
ye kaun sa sitam hai dil-e-mubtala ke saath
ab vo jabin-e-shauq kahin aur kyuun jhuke
vabasta ho gai jo tire naqsh-e-pa ke saath
varafta-e-jamal ka aalam na puchhiye
divana-var uthti hain nazren sada ke saath
surkhi tumhare haath ki kahti hai saaf saaf
shamil hai mere dil ka lahu bhi hina ke saath
takmil-e-arzu ki khushi aur gham-e-hayat
donon hi ibtida se rahe intiha ke saath
shamil miri hayat men yuun hai gham-e-hayat
jaise khabar ho apne kisi mubtada ke saath
‘vasfi’ miri hayat ne manzil ko pa liya
kuchh din guzar aaya jo ik parsa ke saath
Leave a Reply