karb kya hai tujhe batata huun
dard bo kar main gham ugata huun
ek didar ke liye un ki
dhuul ankhon men Daal aata huun
sher kahna bahut hi mushkil hai
roz do paav ḳhuun jalata huun
sirf kuza-gari ka mahir huun
sirf murat tiri banata huun
ḳhuun niklega teri ankhon se
main tujhe karbala sunata huun
hijr kahta hai ḳhuun piina hai
maas jabki use khilata huun
ghaur se sun adu ‘sahar’-ji ke
din men taare tujhe dikhata huun
Leave a Reply