kar na tu baat javedani ki
intiha tai hai har kahani ki
bhaap hona to teri qismat hai
ek tasvir hai tu paani ki
kuchh taghayyur se ḳhauf khate hain
kuchh ibadat karen ravani ki
ham pe husn-e-huruf hai zaa.e.a
ham ziyarat pe hai ma.ani ki
kya sahi aur kya ghalat hoga
baat hai teri tarjumani ki
tum karo baat zard patton ki
ham kare baat shaḳh-e-fani ki
umr se kya bahar ka lena
nahin muhtaj ye javani ki
Leave a Reply