kar ke qaul-o-qarar kya kahna
o faramosh-kar kya kahna
ho ke nadim gunah se paak hua
vaah re sharmsar kya kahna
kaam bigḌe tu hi banata hai
ai mire kirdgar kya kahna
ḳhuub tu ne suni lagi dil ki
vaah re gham-gusar kya kahna
din ko taare dikha diye tu ne
ai shab-e-intizar kya kahna
ḳhaak men bhi mila ke ai zalim
na kiya e.atibar kya kahna
dil-e-hasrat-zada raha na raha
us ka qaul-o-qarar kya kahna
us se hal-e-gham-e-dil-e-mazlum
jo na ho sharmsar kya kahna
ba-vafa.i bhi teri ai dil-e-zar
rah ga.i yadgar kya kahna
na sune ek baar jo dil ki
us se phir baar baar kya kahna
ḳhum ke ḳhum ‘shauq’ kar diye ḳhali
ai mire bada-ḳhvar kya kahna
Leave a Reply