Badan Ke Rup Ka Ejaz Ang Ang Thi Wo

badan ke ruup kā ejaaz añg añg thī vo

mire liye to mirī ruuh kī tarañg thī vo

guloñ ke naam khulī piiTh par mirī likh kar

ḳhizāñ ke phailte lamhoñ se mahv-e-jañg thī vo

siyah ghaTāoñ se kirneñ tarāsh letī thī

mirī hayāt kī ik jāgtī umañg thī vo

vo zaḳhm-ḳhūrda-e-hālāt ḳhud rahī lekin

tamām nik.hat o naġhma tamām rañg thī vo

na jaane kitne the ‘shāhīn’ us ke matvāle

agarche shāḳh meñ uljhī huī patañg thī vo

Leave a Comment