kar diya zulf-e-pareshan sa pareshan mujh ko
dasht men chhod gaya hai dil-e-nadan mujh ko
dagh-e-yaran-e-vatan tha jo dil-e-mahzun men
vo nazar aaya charagh-e-tah-e-daman mujh ko
jan-kani se kahin achchha hai mira mar jaana
nim-bismil na bana navak-e-mizhgan mujh ko
jalva-e-subh-e-qayamat ka maza deta hai
chak-e-dil chak-e-jigar chak-e-gareban mujh ko
murgh-e-dil daam men gesu ke ulajh kar na kahe
ho mubarak tumhen gulshan to ye zindan mujh ko
jalva-e-husn-e-khuda-dad dikha kar dilbar
misl-e-aina kiya aap ne hairan mujh ko
apna apna ye muqaddar hai kahun kya vaaiz
mahfil-e-vaaz tujhe mahfil-e-rindan mujh ko
apni tanhai pe rota huun badi hasrat se
apna pahlu jo nazar aata hai viran mujh ko
ghuncha-e-zakhm-e-jigar khil ke dikha dete hain
chaman-e-ishq sanam ka gul-e-khandan mujh ko
mehman gosha-e-turbat ka mujhe hona hai
kyuun na marghub ho ye gor-e-ghariban mujh ko
minnaten maut ki karta huun to vo kahti hai
zindagi ne to kiya tera nigahban mujh ko
sher-goi nahin sikhi hai ‘jamila’ main ne
meri fitrat ne kiya sahab-e-divan mujh ko
Leave a Reply