kar diya khud ko samundar ke havale ham ne
tab kahin gauhar-e-nayab nikale ham ne
zindagi naam hai chalne ka to chalte hi rahe
ruk ke dekhe na kabhi paanv ke chhale ham ne
jab se ham ho gae darvesh tire kuche ke
tab se tode nahin sone ke nivale ham ne
teri chahat si nahin dekhi kisi ki chahat
vaise dekhe hain bahut chahne vaale ham ne
ham-safar tu jo raha ham bhi ujale men rahe
phir tire baad kahan dekhe ujale ham ne
ek bhi sher guhar ban ke na chamka ‘afzal’
kitne dariya-e-khayalat khangale ham ne
Leave a Reply