kanTon pe chal raha huun mohabbat ki raah men
kis husn ki bahar hai meri nigah men
duniya gunahgar hai teri nigah men
zahid hai tera zo.am bhi daḳhil gunah men
zarron men kya nahin hai jo hai mehr-o-mah men
pasti nigah men hai bulandi nigah men
divangan-e-ishq ko duniya ki kya ḳhabar
duniya ko chhoḌ aa.e kahin gard-e-rah men
har manzil-e-hayat se guzra chala gaya
har marhale pe aap the meri nigah men
kaunain men sama.e na ‘arif’ vo husn jab
kis ka hai zarf rakh sake us ko nigah men
Leave a Reply