kanch nazuk hain khvab nazuk hain
tum qadam soch kar idhar rakhna
khelne ka tujhe hai shauq magar
in chatanon pe bhi nazar rakhna
tere dil men hai aarzu ki kiran
teri ankhon men khvab hain kal ke
tere hathon men rang-e-titli hain
tere chehre pe azm hain dahke
mere angan ki kanch ki gudiya
apni qismat ka imtihan na le
main tujhe shaad dekhna chahun
to andheron ka asman na le
dil pe biiti jo main ne sah li hai
khaar rahon se teri chun lungi
teri har ik khushi aziiz mujhe
tujh ko sansar ik naya dungi
meri gudiya magar ye kahti hai
mujh ko duniya to dekh lene do
kya hua gar mujhe bhi zakhm milen
gham-e-hasti ka vaar sahne do
Leave a Reply