kamar ki baat sunte hain ye kuchh paai nahin jaati
kahe hain baat aisi khayal men mere nahin aati
jo chaho sair-e-dariya vaqf hai mujh chashm ki kashti
har ek mu-e-palak mera hai goya ghaat khairati
ba-rang us ke nahin mahbub dil rone ko ashiq ke
saadat khaan hai ladka vaza kar leta hai barsati
jo koi asli hai thanda garm yaquti men kyunkar ho
na laave taab tere lab ki jo namard hai zaati
na dekha baagh men nargis niin tujh kuun sharm jaane siin
isi gham men hui hai sar-nigun vo vaqt nahin paati
kahan mumkin hai ‘naji’ sa ki taqva aur salah aave
nigah-e-mast-e-khuban vo nahin leta kharabati
Leave a Reply