kal talak jo tha tasavvur anjuman-ara.iyon ka
vo muqaddar ban gaya hai ab miri tanha.iyon ka
zindagani phir bikharne TuTne vaali hai shayad
ai zamin phir aa gaya mausam tiri angḌa.iyon ka
is jahan men aaj jis ke sar pe taj-e-khusravi hai
saara qissa bas isi ke naam hai dana.iyon ka
aadmi mujh ko banaya hai unhi rusva.iyon ne
hai azal se saath mera aur miri rusva.iyon ka
ai ‘vali’ rishta samundar se hai dil ka kuchh yaqinan
koi andaza laga paaya na un gahra.iyon ka
Leave a Reply