kal tak jo mere yaar tha baaqi nahin raha
tujh par jo e’tibar tha baaqi nahin raha
jhaTka yuun us ne haath ki ankhen hi khol diin
barson ka jo ḳhumar tha baaqi nahin raha
phir yuun hua ki donon ke raste badal ga.e
donon men jo qarar tha baaqi nahin raha
ashkon ki ik phuvar ne sab kuchh hi dho diya
dil men jo ik ghubar tha baaqi nahin raha
siine pe kis tabib ne rakha hai apna haath
jo dard be-shumar tha baaqi nahin raha
yaara tire firaq ne saara chuka diya
sangat ka jo udhar tha baaqi nahin raha
us ne ‘zaki’ yuun pyaar se dekha ki phir mira
ḳhud par jo iḳhtiyar tha baaqi nahin raha
Leave a Reply