kal raat
vo thaka hua
chup chup
udaas udaas
sunta raha sadak se guzarti bason ka shor
pipal ka patta tuut ke divar dha gaya
anton ka dard niind ki pariyon ko kha gaya
jhunjhla ke us ne chandi ka dipak bujha diya
akash ko samet ke niche gira diya
phaili hui zamin ko dhuen sa uda diya
phir kuchh nahin
na khet, na maidan na raste
bas ik nigah
khidki ki rang-jaliyan
(bas tiin chaar aane ki do chaar goliyan)
Leave a Reply