kal ka vaada na karo dil mira bekal na karo
kal padegi na mujhe mujh se ye kal kal na karo
kahin jala de na use shola-e-ah-e-ashiq
palkon ki tatti ke taiin ankhon ki ojhal na karo
kar chuki tegh-e-nigah kaam to pal hi men tamam
tiir palkon ka muqabil mire pal pal na karo
us ko har shab hai zaval us ko nahin hai kuchh naqs
badr ko chehre se us ke mutamassil na karo
dukh na paave kahin vo naznin-gardan pyare
takiya zinhar sar-e-balish-e-makhmal na karo
Leave a Reply