kaisi hai ajab raat ye kaisa hai ajab shor
sahra hi nahin ghar bhi machata hai ajab shor
ik dard ki andhi mujhe rakhti hai hirasan
ik aas ka jhonka bhi uḌata hai ajab shor
raushan hai kisi aankh men tariki-e-ahval
ik taq-e-tamanna men dahakta hai ajab shor
ik shaḳhs mire a.ina-e-dil ke muqabil
ḳhamosh hai lekin pas-e-chehra hai ajab shor
aati hai bahut duur se pazeb ki avaz
phir meri sama.at men chahakta hai ajab shor
main zabt ko har ruḳh se sipar karta huun lekin
ankhon se miri jhankta rahta hai ajab shor
shayad tira hissa hai kinare ki ḳhamoshi
ma.alum tujhe kya tah-e-dariya hai ajab shor
Leave a Reply