kaisa kaisa dar pas-e-divar karna paḌ gaya
ghar ke andar aur ghar tayyar karna paḌ gaya
us kinare ne kaha kya kya kahun kya baat thi
baat aisi thi ki dariya paar karna paḌ gaya
phir bisat-e-ḳhvab uTha.i aur ojhal ho ga.e
shaam ka manzar hamen hamvar karna paḌ gaya
ik zara sa rasta manga tha virani ne kya
apna saara ghar hamen mismar karna paḌ gaya
vo kahani vaqt ka jis men tasavvur hi nahin
us kahani men hamen kirdar karna paḌ gaya
sarsari samjha tiri ankhon ko ham ne aur phir
sarsari chizon pe bhi israr karna paḌ gaya
aḳhirash sab ḳhvab us manzil pe pahunche hain jahan
apni ankhon ka hamen inkar karna paḌ gaya
Leave a Reply