kaif-e-masti men ajab jalva-e-yakta.i tha
tu hi tu tha na tamasha na tamasha.i tha
husn be-vasta-e-zauq-e-ḳhud-ara.i tha
ishq be-vahima-e-lazzat-e-rusva.i tha
teri hasti men na kasrat thi na vahdat paida
hama o be-hama o ba-hama yakja.i tha
parda-dar koi na tha aur na dar-parda koi
ghairat-e-ishq na thi alam-e-tanha.i tha
la-fana teri sifat thi teri hasti ka subut
be-nishan tera nishan surat-e-bina.i tha
haal tha haal na maazi tha na tha mustaqbil
az-azal ta-ba-abad jalva-ba-ra.ana.i tha
zaat qaa.em thi ba-zat aur sifat thi ma.adum
kun na tha ma.arka-e-anjuman-ara.i tha
bazm men tu ne jo ulTa ruḳh-e-raushan se naqab
ek aalam tere jalve ka tamasha.i tha
fitna-za husn hua ishq hua shor-e-fagan
ram hua shauq-faza shauq tamanna.i tha
koi sabit koi sayyara koi mutahayyar
koi ashiq koi majnun koi sauda.i tha
harf aur saut men aata hai kisi ka ho kalam
‘sahir’ aghaz men kun ghayat-e-paida.i tha
Leave a Reply