ka.i dilon men paḌi is se shor-o-shar ki tarah
tira ḳhayal hai uḌti hui ḳhabar ki tarah
nahin hai tab-e-nazar kam-ayar ankhon men
chamak raha hai vo chehra dukan-e-zar ki tarah
haTegi gard-e-mah-o-sal kis ke hathon se
zamana band paḌa hai qadim dar ki tarah
ḳhayal-e-ghair nikalta nahin mire dil se
kisi ke ghar men ye baiTha hai apne ghar ki tarah
ThiThak gaya main use apne samne pa kar
mujhe laga vo guzargah-e-pur-ḳhatar ki tarah
sukun ke saath thakan bhi hai us ki yadon men
guzishta umr hai bhule hue safar ki tarah
pas-e-ada-e-nazar chhup ga.i hai tariki
vo be-naqab hua avvalin sahar ki tarah
jo mere samne muddat ke ba.ad aaya tha
guzar gaya hai uchaTti hui nazar ki tarah
Dhale hain in men miri zindagi ke sham-o-sahar
hain mere sher hikayat-e-muḳhtasar ki tarah
Leave a Reply