
Hosh Tirmizi
kaho ma.al-e-arzu ho kya agar ghuTe na dam
ki apne iḳhtiyar men na arz-e-gham na zabt-e-gham
tira kahin pata nahin uThen to kis taraf qadam
udhar baḌhun to but-kada idhar chalun to hai haram
mile the shaiḳh-o-barahman fareb hain tiri qasam
use hi dhan ḳhuda ḳhuda use lagan sanam sanam
hazar kavishon pe bhi hai zindagi rahin-e-gham
nafas nafas nazar nazar ravish ravish qadam qadam
ḳhirad ki baat pe na ja junun ke mai-kada men aa
yahan na rasm-e-pesh-o-pas na koi fikr-e-besh-o-kam
uTha na bar-e-bandagi ki mohtaram hai zindagi
dhaḌak raha hai dil agar khanak raha hai jam-e-jam
hava-e-shauq tham ga.i havas ki mel jam ga.i
kahan vo hashr aarzu na dil tapan na aankh nam
yahi ḳhalish hai muttasil sar-e-chaman hadis-e-dil
kaTin hazar ungliyan karenge ham yunhi raqam
hai un se be-ta.alluqi na dosti na dushmani
batao ‘hosh’ kya karen kahin ke ab rahe na ham

Leave a Reply