kahin zahir ye teri chaah na ki
marte marte bhi ham ne aah na ki
tu nigah ki na ki ḳhuda jaane
ham to Dar se kabhu nigah na ki
sab ke ji men ye naala ho guzra
ek tere hi dil men raah na ki
aah mar ga.e pa na-tavani
ek bhi aah sarbarah na ki
vo kisu aur se karega kya
jin ne tujh se ‘asar’ nibah na ki
Leave a Reply