kahin tum apni qismat ka likha tabdil kar lete
to shayad ham bhi apna rasta tabdil kar lete
agar ham vaqai kam-hausla hote mohabbat men
maraz badhne se pahle hi dava tabdil kar lete
tumhare saath chalne par jo dil raazi nahin hota
bahut pahle ham apna faisla tabdil kar lete
tumhen in mausamon ki kya khabar milti agar ham bhi
ghutan ke khauf se aab o hava tabdil kar lete
tumhari tarah jiine ka hunar aata to phir shayad
makan apna vahi rakhte pata tabdil kar lete
vahi kirdar hain taaza kahani men jo pahle bhi
kabhi chehra kabhi apni qaba tabdil kar lete
judai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jaati
jo ham ik dusre se masala tabdil kar lete
hamesha ki tarah is baar bhi ham bol uthe varna
gavahi dene vaale vaqia tabdil kar lete
bahut dhundla gaya yadon ki rim-jhim men dil-e-sada
vo mil jaata to ham ye aina tabdil kar lete
Leave a Reply