mehman hai koi dam ka zamana shabab ka
rukta hai karvan bhi kahin inqalab ka
daur-e-shaguftagani hai ye maana magar suno
meri nigah men hai ubharna habab ka
eajaz-e-irtiqa ka tamasha to dekhiye
zarra bhi ham-rikab hai ab aftab ka
sun kar vo majra-e-dil-e-zar bol uthe
ye vaqia nahin hai karishma hai khvab ka
be-kar ‘qadri’ unhen main ne khajil kiya
kya mil gaya jo kah diya haal iztirab ka
Leave a Reply