kahin sho.ala kahin ḳhakistar-e-taza nazar aaya
vahan main tha jahan phulon ka darvaza nazar aaya
bahakti hain hava.en phuul be-mausam bhi khilte hain
jahan-e-ab-o-gil ham ko ba-andaza nazar aaya
hava ki zahr-naki abr-e-na-rafta ki saffaki
mujhe aksar vida-e-gul ka ḳhamyaza nazar aaya
udasi thi ki tha ik jalva-e-sad-rang-o-bu shayad
dil-e-be-rang bhi rangon ka shiraza nazar aaya
shajar ka aks tha ab-e-ravan tha aur main bhi tha
samar shaḳh-e-burida ka tar-o-taza nazar aaya
zaban ka husn bhi hamvar-o-na-hamvar hota hai
kahin fitrat nazar aa.i kahin ghaza nazar aaya
Leave a Reply