kahin pe gard kahin par hava banati huun
main khud ko ab to bas apne siva banati huun
kahin pe taare kahin par hain aas ke jugnu
khizan men bhi main gulon ki faza banati huun
bikhar gae the kisi naam ke huruf kahin
ab un ko jod kar ik aaina banati huun
ye tai hai us ko agar laut kar nahin aana
to kis liye main dua ko asa banati huun
ujalta hai ye tarikiyan mire dil ki
tumhari yaad ko har pal diya banati huun
jab apne ashk chhupati huun muskurahat se
to apne dard ko apni dava banati huun
tarash kar kisi patthar ke ek paikar ko
kamal-e-ishq se us ko khuda banati huun
ki khvab men rahe ta-der guftugu tujh se
zara si baat ko main vaqia banati huun
suna tha main ne jo ‘shahin’ ek lamhe ko
is ek lamhe ko apni sada banati huun
Leave a Reply