kahin jamal-e-azal ham ko runuma na mila
mile to husn magar husn aap sa na mila
rahi talash magar dard ashna na mila
hamare ba.ad unhen ham sa ba-vafa na mila
ga.e hain dair-o-haram men bhi barha lekin
vo aasra jo diya tu ne saqiya na mila
jo duur the to bahut parsa the ye zahid
jo paas aa.e to koi bhi parsa na mila
muqable ki jo taqat thi vo ubhar to saki
ḳhuda ka shukr hai kashti ko naḳhuda na mila
javab-e-jannat-e-rangin sahi tiri duniya
magar hamen to yahan lutf ai ḳhuda na mila
hava-o-hirs ke lakhon shikar paa.e magar
koi bhi dard mohabbat men mubtala na mila
jo chashm-e-mast se chhalka ke de alast ki mai
tire siva koi duniya men saqiya na mila
mujhi ko baḳhsh diye kul jahan ke alam
gham-e-jahan ke liye koi dusra na mila
kahun to kis se kahun dil ki baat ai ‘darshan’
sune jo dard-e-bashar aisa ham-nava na mila
Leave a Reply