kahin hai dagh-e-nakami kahin hai ḳhuun arman ka
hamara dil muraqqa ban gaya hai yas-o-hirman ka
jahan valon pe main ehsan karke bhuul jaata huun
mire aḳhlaq ko chamka raha hai naqsh nisyan ka
ala.eq men ulajh kar fursat-e-nazzara kho baiTha
nihayat diid ke qabil tha manzar bazm-e-imkan ka
baḌhi hai tishnagi sairab kar do paanv ke chhalo
zara sa munh nikal aaya hai har ḳhar-e-bayaban ka
nahin hain ‘hali’-o-‘iqbal’ se sha.ir to kya gham hai
abhi ik dam ghanimat hai to ‘jarrar’-e-suḳhan-dan ka
Leave a Reply