• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahan Main Jaun Gham-E-Ishq-E-Raegan Le Kar

Kahan Main Jaun Gham-E-Ishq-E-Raegan Le Kar

kahan main ja.un gham-e-ishq-e-ra.egan le kar

ye apne ranj ye apni udasiyan le kar

jala hai dil ya koi ghar ye dekhna logo

hava.en phirti hain charon taraf dhuan le kar

bas ik hamara lahu sarf-e-qatl-gah hua

khaḌe hue the bahut apne jism o jaan le kar

na.e gharon men na rauzan the aur na mehraben

parinde lauT ga.e apne ashiyan le kar

samundaron ke safar jin ke naam likkhe the

utar ga.e vo kinaron pe kashtiyan le kar

talash karte hain nau-saḳhta makanon men

ham apne ghar ko purani nishaniyan le kar

unhen bhi sahne paḌe the azaab mausam ke

chale the apne saron par jo sa.eban le kar

hava men hilte hue haath puchhte hain ‘zubair’

tum ab ga.e to kab aaoge chhuTTiyan le kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zaban Band Rakhen Aur Tum Se Dar Jaen

Salim Yaqin-E-Azmat-E-Sehr-E-KHuda Na toD

gulzar

Khuli Kitab Ke Safhe Ulatte Rahte Hain

Batata Hai Mujhe Aaina Kaisi Be-ruKHi Se

KHWAJA GHULAM FARID

Ishq Asanjhi Ja Aahe Insaf

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet