kahan dhuan hai kahan ghar samajh men aa.ega
hava chalegi to manzar samajh men aa.ega
talash-e-gauhar-e-nayab sat.h par kyon hai
bhanvar men utro samundar samajh men aa.ega
abhi se tabsira shaḳhsiyyaton pe Thiik nahin
ho guftugu to suḳhnavar samajh men aa.ega
har ek ḳhvab na.i sub.h ki amanat hai
kar intizar muqaddar samajh men aa.ega
muqable ki ghaḌi aa ga.i zara Thahro
vo daara hai ki sikandar samajh men aa.ega
‘zamir’ bhiiḌ men chehron ka ja.eza liije
kahan se aaya hai patthar samajh men aa.ega
Leave a Reply