Kah Rahi Hai Ye Kya Saba Kuchh Soch

kah rahī hai ye kyā sabā kuchh soch

ai hasīñ paikar-e-jafā kuchh soch

chand roza bahār par mat jā

gul kā anjām kyā huā kuchh soch

ye hasīñ rut ye chāñdnī ye bahār

aise aalam meñ to na jā kuchh soch

kyā hue rah-ravān-e-manzil-e-shauq

kyuuñ hai sunsān rāstā kuchh soch

ḳhaar jis se lipaT ke rote the

ābla-pā vo kaun thā kuchh soch

ham na hoñge to terī mahfil meñ

kaun hogā ġhazal-sarā kuchh soch

biphrī lahroñ pe chhoḌ dī kashtī

kyā kiyā tū ne nā-ḳhudā kuchh soch

rahbarī kā bharam na khul jaa.e

pā-shikastoñ ke rahnumā kuchh soch

kis ko chāhe tire sivā ‘nāsir’

kaun hai tujh sā dūsrā kuchh soch

Leave a Comment