kafir tha main ḳhuda ka na munkir dua ka tha
lekin yahan saval shikast-e-ana ka tha
kuchh ishq-o-ashiqi pe nahin mera e’tiqad
main jis ko chahta tha hasin intiha ka tha
jal kar gira huun sukhe shajar se uḌa nahin
main ne vahi kiya jo taqaza vafa ka tha
tarik raat mausam-e-barsat jan-e-zar
girdab pichhe samne tufan hava ka tha
ik umr ba.ad bhi na shifa ho sake to kya
rag rag men zahr sadiyon ki ab-o-hava ka tha
go rahzan ka vaar bhi kuchh kam na tha magar
jo vaar kargar hua vo rahnuma ka tha
‘akbar’ jahan men kar-kushai buton ki thi
achchha raha jo manne vaala ḳhuda ka tha
Leave a Reply