dil ka azar kam nahin hota
shauq-e-didar kam nahin hota
baḌh rahi hai bahut masiha.i
dard-e-bimar kam nahin hota
sul.h-sazan-e-bazm-e-alam ka
josh-e-paikar kam nahin hota
dekh kar tum ko aur ko dekhen
ab to me.aar kam nahin hota
un ke inkar-e-ruh-farsa se
un ka iqrar kam nahin hota
ai falak aur koi taaza sitam
karam-e-yar kam nahin hota
zahiri haq-parastiyon se kabhi
kufr-e-din-dar kam nahin hota
daur-e-mai men kami to aati hai
shauq-e-mai-ḳhvar kam nahin hota
mai se raghbat hai shaiḳh ko har-chand
mai se inkar kam nahin hota
‘arsh’ dad-e-suḳhan na milne se
lutf-e-ash.ar kam nahin hota
Leave a Reply