aansu ko apne dida-e-tar se nikalna
lagta hai mehman ko ghar se nikalna
sukhe hue shajar men lahhu to nahin hai ḳhushk
konpal koi numu ki shajar se nikalna
is yaḳh-zada faza men gar uḌne ka qasd hai
be-his ruton ki barf ko par se nikalna
jis sub.h ke jilau men shabon ka hujum ho
kirnon ko aise dam-e-sahar se nikalna
jis se shab-e-hayat ka sannaTa TuuT jaa.e
avaz aisi saz-e-hunar se nikalna
sab ka nahin ye ahl-e-basirat ka kaam hai
gahri ḳhabar bhi sat.hi ḳhabar se nikalna
rasta kaThin ho laakh na hona ‘hazin’ malul
pahlu ḳhushi ka ranj-e-safar se nikalna
Leave a Reply