kaḌi thi dhuup sar chakra raha tha
main bhuka tha bahut ghabra raha tha
tumhara shahr kya tha kya bata.un
tamasha har koi dikhla raha tha
the us ke haath men kashkol lekin
vo mehr-o-mah ko sharma raha tha
ana ka saanp main ne maar Daala
bahut nuqsan ye pahuncha raha tha
amir-e-shahr se ye kaun puchhe
sitam kyon muflison par Dha raha tha
lage Thokar to ḳhud hi tum sambhal jaao
safar ka tajraba batla raha tha
akeli thi koi laḌki saḌak par
badan jis ka mujhe lalcha raha tha
ye kaisa ḳhvab main ne ‘faiz’ dekha
samundar meri janib aa raha tha
Leave a Reply