kabhi yuun bhi karo shahr-e-guman tak le chalo mujh ko
jahan tak raushni hai tum vahan tak le chalo mujh ko
bhaTakta ja raha huun rah-rau milta nahin koi
ghubar-e-rah mere karvan tak le chalo mujh ko
gham-e-avargi se main shikasta hota jaata huun
parindo tum hi apne ashiyan tak le chalo mujh ko
ḳhamoshi jhel li main ne riha.i ki ghaḌi aa.i
suḳhan ke vaste lafz-o-bayan tak le chalo mujh ko
kisi ta.abir ki manzil se ya to ashna kar do
nahin to phir usi ḳhvab-e-giran tak le chalo mujh ko
‘taraz’ ab to tahaffuz ki koi surat nahin milti
mire rahbar kisi ja-e-aman tak le chalo mujh ko
Leave a Reply