kabhi to aa ke milo mera haal to puchho
ki mujh se chhuT ke bhi aaj kaise zinda ho
javaniyon ki ye rut kis tarah guzarti hai
bas ek baar tum apni nazar se dekh to lo
vo arzuon ka mausam to kab ka biit chuka
main kab se jhel raha huun dukhon ke sahra ko
masarraton ki ruten to tumhare saath ga.iin
main kaise duur karun ruuh ki udasi ko
guzar na jaao sar-e-rah ajnabi ki tarah
tumhara ḳhvab huun main tum to mujh ko pahchano
jo ja chuke vo musafir na a.enge arman
bas ab to dafn karo nim-jan umidon ko
Leave a Reply