• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Na Aasuda-E-Amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai

Kabhi Na Aasuda-E-Amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai

kabhi na asuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai

aur is irade ka unchi avaz men i.aada bhi kam nahin hai

shahanshah-e-vaqt aur darbari apne suud o ziyan se vaqif

sarir-ara-e-saltanat koi ḳhanvada bhi kam nahin hai

asa-e-farman-rava.i jaadu jaga.e jis taur bhi rava hai

rumuz-e-asrar-e-hukmarani men shahzada bhi kam nahin hai

koi rakhe be-jahat safar men masafaton ka hisab kaise

ki tausan-e-be-zamam ko be-nishan jaada bhi kam nahin hai

yahi bahut hai kisi tarah se bharam hi rah jaa.e pesh duniya

agar mayassar nahin hai baada ḳhayal-e-bada bhi kam nahin hai

mujh aise uftad-gan ki Dharas na jaane kaise bandhi hui hai

pahaḌ si umr kaTne ko ye zehn-e-sada bhi kam nahin hai

kisi ka khoTa nasib ‘yasir’ kise ḳhabar kis ghaḌi khara ho

julus-e-shahi ke saath ik be-zaban piyada bhi kam nahin hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Mauj KHushbuon Ki Thi Gulab Se Nikal Gai

Jaan Yun Libas-E-Jism Ko Nikli Utar Kar

ameer-minai

Jab Se Bandha Hai Tasawwur Us Rukh-E-Pur-Nur Ka

Baal Baal Duniya Par Us Ka Hi Ijara Hai

abrar-ahmad

Mitti Se Ek Mukalima

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet