Kabhi Maine Unhen Puchha Nahin Hai

kabhī maiñ ne unheñ pūchhā nahīñ hai

unheñ bhī hai mohabbat yā nahīñ hai

ijāzat ho to maiñ ye arz kar duuñ

salīqa aap kā achchhā nahīñ hai

vahī chhāyā huā hai zindagī par

vo jis ko aaj tak dekhā nahīñ hai

sitam ālām mahrūmī tabāhī

mirī taqdīr meñ kyā kyā nahīñ hai

abhī kuchh aur bhī jaur-o-sitam huuñ

abhī sadmoñ se dil TuuTā nahīñ hai

na jaane kis ghaḌī chhin jaa.e mujh se

ye zālim jism bhī merā nahīñ hai

mirī taqdīr hī meñ Thokareñ thiiñ

mujhe duniyā se kuchh shikva nahīñ hai

ajab insān hai duniyā meñ vo bhī

sadā-e-vaqt jo suntā nahīñ hai

kahāñ rahte ho ‘āsī’ āj-kal tum

ka.ī din se tujhe dekhā nahīñ hai

Leave a Comment