kabhi jo rasta hamvar karne lagta huun
kuchh aur bhi use dushvar karne lagta huun
mire vajud ke andar bhadakne lagta hai
jab us charagh ka inkar karne lagta huun
nazar men laata huun us chashm-e-nim-baz ko main
aur apne aap ko bimar karne lagta huun
jahan bhi koi zara hans ke baat karta hai
main apne zakhm numudar karne lagta huun
vo shor hota hai khvabon men ‘aftab’ ‘husain’
ki khud ko niind se bedar karne lagta huun
Leave a Reply