kabhi jabr-o-sitam ke ru-ba-ru sar ḳham nahin hota
mira jazb-e-sadaqat ghair-mustahkam nahin hota
saron ki fasl kaTne ka ye mausam to nahin lekin
saron ki fasl kaTne ka koi mausam nahin hota
jinhen aata ho fan auron ke gham apna.e jaane ka
unhen ta-zindagi duniya men koi gham nahin hota
hamare daur men ab nafsa-nafsi ka ye aalam hai
janaze roz uThte hain magar matam nahin hota
zaban ke taziyane se kaleje par jo lagta hai
vo aisa zaḳhm hai jis ka koi marham nahin hota
mili aslaf se ‘javed’ mujh ko sidq ki daulat
suluk-e-narava se bhi ye jazba kam nahin hota
Leave a Reply