duniya men kise aag lagani nahin aati
afsos magar sab ko bujhani nahin aati
ta-hadd-e-nazar dasht hai kyuun baiThe hue ho
lagta hai tumhen ḳhaak uḌani nahin aati
vo shoḳh hai baton men laga rahta hai aksar
sunta huun mujhe baat banani nahin aati
bistar ki zarurat hi nahin niind ko pyare
kya jism ki chadar hi bichhani nahin aati
bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar men
lekin mire ashkon men ravani nahin aati
ḳhushbu se mahakti hi nahin raat hamari
ḳhvabon men agar raat ki raani nahin aati
nadan miri mez ke shishe pe gire hain
ashkon ko bhi tasvir banani nahin aati
main ḳhud bhi khilaunon ka taraf-dar rahunga
jab tak mire bachchon pe javani nahin aati
main sirf haqiqat hi bayan karta huun ‘aijaz’
afsana nahin aata kahani nahin aati