kabhi dahakti kabhi mahakti kabhi machalti aa.i dhuup
har mausam men angan angan ruup badal kar chha.i dhuup
us ko zaḳhm mile duniya men jis ne mange taaza phuul
jis ne chahi chhanv ki chhatri us ke sar par chha.i dhuup
jaane apna ruup dikha kar kis ne parda taan liya
kis ki khoj men avara hai angna.i angna.i dhuup
chaḌhte suraj ki kirnen hain daulat izzat shohrat shaan
aḳhir aḳhir har divar se yaaro Dhalti aa.i dhuup
danish ki afzuni akasr karti hai dil ko gumrah
tez ziyada ho to chhine ankhon ki bina.i dhuup
mathe par sindur ki bindiya thali men kuchh surḳh gulab
nuur ke taḌke uusha taT par puuja karne aa.i dhuup
kaun baḌha.e pyaar ki pengen us naT-khaT banjaran se
phirne ko to nagri nagri phirti hai harja.i dhuup
janam janam ke andhiyare ka jaadu chhan men TuuT gaya
‘sabir’ aaj miri kuTiya men chupke se dar aa.i dhuup
Leave a Reply