kal chaman tha aaj ik sahra hua
dekhte hi dekhte ye kya hua
mujh ko barbadi ka koi gham nahin
gham hai barbadi ka kyuun charcha hua
ik chhoTa sa tha mera ashiyan
aaj tinke se alag tinka hua
sochta huun apne ghar ko dekh kar
ho na ho ye hai mera dekha hua
dekhne valon ne dekha hai dhuan
kis ne dekha dil mira jalta hua
Leave a Reply