Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri

kabhī bahār kabhī gul kabhī subū Thahrī

vo aañkh jo kisī jannat kī āb-jū Thahrī

rusūm-e-dard nibhā.eñ ki aap ko chāheñ

yahī to shart-e-mulāqāt dū-badū Thahrī

har ek pal meñ hazāroñ Thahar ga.iiñ sadiyāñ

nasīm-e-sub.h-e-tamannā magar na tū Thahrī

laboñ kī narm lapeToñ meñ ghultī ghultī shafaq

kahīñ lahū kahīñ rañgīnī-e-subū Thahrī

dar-e-firāq pe dam-bhar ko nik.hat-e-saharī

tire ḳhirām kī mānind hū-ba-hū Thahrī

tumhārā lams mo.attar tumhārā jism bahār

yahī to bahs gulāboñ ke rū-ba-rū Thahrī

Leave a Comment