• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kab Nishan Mera Kisi Ko Shab-E-Hasti Mein Mila

Kab Nishan Mera Kisi Ko Shab-E-Hasti Mein Mila

kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti men mila

main to jugnu ki tarah apni hi muTThi men mila

bhaag nikla tha jo tufan se chhuḌa kar daman

sar-e-sahil vahi Duuba hua kashti men mila

aankh raushan ho to duniya ke andhere kya hain

rasta mahtab ko raton ki siyahi men mila

main jalata raha tere liye lamhon ke charagh

tu guzarta hua sadiyon ki savari men mila

tu ne mangton ko uchaTti hui nazren bhi na diin

haath phailaya na jis ne use jholi men mila

main ik aansu hi sahi huun bahut anmol magar

yuun na palkon se gira kar mujhe miTTi men mila

mahfilon men kiya logon ne ‘muzaffar’ ki talash

vo bhaTakta hua afkar ki vaadi men mila

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Sada Ko Hawaen Bhi Qaid Karti Hain

Raat Kitni Raushan Hai Kuchh Likha-paDhi Kar Len Aao Phir Ghazal Kah Len

Muntashir Zehn Ki Sochon Ko ikaTTha Kar Do

Duniya Ko Har Chiz Dikhai Ja Sakti Hai

Rujua Karte Hue Apne Muddaa Se Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet